Skip to content
Home » Qurbani Ki Dua aur Qurbani Karne Ka Tarika Hadees Hindi | Roman Urdu | Arabic Mein

Qurbani Ki Dua aur Qurbani Karne Ka Tarika Hadees Hindi | Roman Urdu | Arabic Mein

Qurbani Ki Dua

Qurbani Ki Dua aur Qurbani Karne Ka Tarika Hindi aur Roman English mein padhe. Qurbani wo chiz hai jis ke zarie Allah ka qurb hasl kiya jae. Qurbani us azeem waqiah ki yadgar hai, jab Hazrat Ibraheem alayhissalam ne apne bete Hazrat Ismail alayhissalam ko jo unhe budhape me ataa hue.

Allah ta’alaa ke hukm aur uski raza ke husool ke khatir qurbani karne ke liye tayyar hogae aur dusri taraf farmabardar saabir wa shakir beta apne walide mohatram ki zaban se ye ishara sunkar ke Allah ne us ki jaan ki qurabani talab ki he, usi lamha Allah Rabbul-aalameen ki raah mein qubaan hone ke lye tayyar hogaya. Is post me ham aap logon ko qurbani ka janwar zibah karne ki dua aur qurbani karne ka tarika sahee hadees ke saath bataenge.

Qurabani (क़ुरबानी) Ka Hukm Quraan Paak Me

وَلِكُلِّ أُمَّةٍ جَعَلْنَا مَنْسَكًا لِّيَذْكُرُواْ ٱسْمَ ٱللّٰهِ عَلٰى مَا رَزَقَهُم مِّنۢ بَهِيمَةِ ٱلْأَنْعٰمِ

 (Suarah Hajj Ayat: 34)

Tarjuma: Aur ham ne har ummat  ke liye ek qurbani muqarrar faramai ke Allah ka nam le, us ke diye hue be zaban chopaiyon per.

Qurbani Ki Dua Aur Tarika Sahi Hadees Mein

Jab koi bhi qurbani ka janwar zabah kare to use ye dua padhni chahiye.

Note: Agar qurabni apni taraf se kare to ye padhe

Qurbani Ki Dua Arabic Mein

بِسْمِ اللهِ ، واللهُ أكْبَرُ ، اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ ھٰذَا مِنّیْ

ترجمہ: اور واللہ کے نام سے، اور اللہ بہت بڑا ہے، اے اللہ میری ترف سے قبول فرما

Qurbani Ki Dua Roman Urdu

Bismillah, Wallahu Akbar, Allahumma taqabbal Hadha Minnee

Qurbani Ki Dua Ka Tarjuma: Aur Allah ke nam se aur Allah bahut bada hai, Eye Allah ye meri taraf se qabool farma.

Qurbani Ki Dua Hindi Mein | कुर्बानी की दुआ हिंदी में

बिस्मिल्लाह, वल्लाहु अकबर, अल्लाहुम्मा तक़ब्बल हाज़ा मिन्नी

क़ुरबानी की दुआ का तर्जुमा हिंदी में: और अल्लाह के नाम से और अल्लाह बहुत बड़ा है ए अल्लाह ये मेरी तरफ़ से क़बूल फार्मा

Note: Aur agar qurbani dusre ki taraf se karraha ho to uska nam lena chahiye. Niche dua dekhe

بِسْمِ اللهِ ، واللهُ أكْبَرُ ، اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ ھٰذَا مِنْ زید

Bismillah, Wallahu Akbar, Allahumma taqabbal Hadha Min Zaid

Tarjuma: Aur Allah ke nam se aur Allah bahut bada hai, Eye Allah ye Zaid ki taraf se qabool farma.

Note: is me hamne zaid ka nam liya hai yani ye qurbani zaid ki taraf se karrahe isiliye aap jiski taraf se karna chahte hai uska name le.

Ye Dua Padhe : Istikhara Ki Dua Istikhara Ka Tarika Hindi Mein

Qurbani Ki Dua Ki Hadees | कुर्बानी की दुआ दुआ की हदीस

Hadees 1: Hazrat Anas raziyallahu ta’aala anhu se rivayat hai ke unhon ne bayan kya ke nabi (ﷺ) apne haath se seengon wala kala aur safed mendhe jin me safedi ziyada thi apne haath se zabah kiye Bismillah, Aallahu Akbar (بسم اللہ، اللہ اکبر) kaha aur apni taang un ki gardan per rakhi. (Sahi Muslim 1966)

Hadees 2: Hazrat Aisha Raziyallahu anha bayan karti hai ke: Nabi (ﷺ) ne aik seengon wala Mendha laane ka hukum diya to woh laya gaya taa ke is ki qurbani karen, to Nabi (ﷺ) ne Aisha Raziyallahu anha se farmaya : churee lao, phir frmane lage ise  patthar per tez karo (Aisha Raziyallahu anha kehti hai) mein ne aisa hi kya phir Nabi (ﷺ) ne woh churee le li aur mendhe ko pakar kar letaya aur use zabah karte hue kehne lage : Bismillah, (بسم اللہ) Ae Allah Mohammad aur Mohammad (ﷺ) ki aal aur ummat-e mohammadiya ki janib se qubool kar phir use zabah kardiya. (Sahi Muslim 1967)

Hadees 3: Jabir bin Abdullah Raziyallahu anhu kehte hain ke: mein Eidgah me Eid-ul azha ke din Nabi (ﷺ) ke sath hazir tha, jab Nabi (ﷺ) khutba Eid se farigh hue to apne minbar se utre to ek mendha laya gaya jise Nabi (ﷺ) ne apne haath se zabah kya aur kaha: Bismilla wallahu Akbar (بسم اللہ ، واللہ اکبر) yeh meri aur meri ummat mein se us ki janib se hai jis ne qurbani nahi ki. (Sunan Tirmizi 1521)

Jab qurbani ek esi ebadat hai aur deen-e Islam ke azeem sha’aa-ir me se ek sha’aar hai jis me Allah ta’aala ki tauheed aur apne upper Allah ta’aala ki nematon aur apne baap Ibrahim alaihissalam ki apne rab ki ita’at farmanbardari ki yad dihani karte hai.

Ek Masla

Agar koi musalman shakhs qurbani karna chahe to use zilhijja ka chand nazar aane ke baad kin ashya se ijntinab karna hoga?

Sunnat-e Nabi (ﷺ) se sabit hai ke koi bhi qurbani karna chahe aur uska irada ho to chand nazar aane ke baad qurbani zabah karne tak use apne baal aur nakhun wagaira nahi katwane chahiye kiyunki nabi kareem (ﷺ) ka farman hai.

Qurabni Ke Janwar me Kitne Log Sharik Hosakte Hai

Gaaye ya Oont mein saat (7) hissa daar shareek hone ki sharai gunjaish mojood hai

Hadess: Hum ne hudaibiya mein Rasool Karim (ﷺ) ke sath ek Oont aur ek gaaye saat (7) saat (7) afraad ki janib se zabah kithi (Sahih Muslim 1318)